Friday, June 13, 2008

zindagi ki raah mein jab bhi nikalti hai ghazal
har qadam pe ek naya pahlu badalti hai ghazal
aabgine bahr-e-dil se chunti hai alfaz ke
phir libaas-e-sher ke qalib mein dhalti hai ghazal
haadse taareekiyon mein runumaa hote hain jab
do qadam simte safar kuch aur chalti hai ghazal
shamma khud ha'ns ha'ns jalati hai agar parwano'n ko
raat bhar phir gham mein un ke kyon pighalti hai ghazal
maikash-e-kamzarf ke haathon mein sahba-e-sukhan
gar bahak jaae to mushkil se sa'nbhalti hai ghazal
khushnuma rangon ki sarim dekh lo ath'kheliyan
chedta hun titliyon ko par machalti hai ghazal

No comments: