Friday, June 13, 2008

Sab Raastey Dushman Hoi Ashjaar Mukhalif
To Mera Howa Tu Hoi Yaar Mukhalif
Bunyad Rakhon Koi Tu Bunyad Hai Dushman
Dewaar Uthata Hoon Tu Dewaar Mukhalif
Hathoon Mein Utha Letey Auzaan Ke Pather
Suntey Hi Nahi Merey Ash-aar Mukhalif
Mein Ishq Ko Hamdard Samajh Betha Tha Yaroon
Lagtey Na They Is Behar Ke Aasar Mukhalif
Doon Jaan Tu Qurbani Samajhta Nahi Koi
Ger Thora Sambhalta Hoon Tu Ghar Baar Mukhalif
Is Shehar Ko Such Sunney Ki Adat Hi Nahi
Lagtey Hain Sab Ko Merey Afkaar Mukhalif
Sunntey They ke Bas Hotey Hain Aghyaar Mukhalif
Merey Tu Nikal Aai Hain Sab Yaar Mukhalif
Jo Baat Bhi Ho Dil Mein Chupata Nahi Farhat
Her Rooz Bana Leta Hoon Do Chaar Mukhalif
Mein Tu Kisi Qabil Hi Nahi Tum Ko Samajhta
Tum Merey Baney Phirtey Ho Bekar Mukhalif

Hum Loog Ghareebon Se Ulajhtey Nahi Farhat
Hum Loog Bana Letey Hain Sardar Mukhalif
(To Be Selected From Farhat Abbas Shah's Book "Ek Baar Kaho Tum Merey Ho" )

No comments: