Sunday, June 15, 2008

paa-ba-gil sab hain rihaai ki kare tadabir kaun
dast-basta shahar mein khole meri zanjir kaun
mera sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le
kar rahaa hai mere fard-e-jurm ko tahariir kaun
meri chaadar to chhini thi shaam ki tanhai ne
beridai ko merii phir de gayaa tashahir kaun
niind jab Khvaabon se pyaari ho to aise ahad mein
Khvaab dekhe kaun aur Khvaabon ko de taabir kaun
ret abhi pichhale makaanon kina vaapas aai thi
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamir kaun

saare rishte hijraton mein saath dete hain to phir
shahar se jaate hue hotaa hai daaman_giir kaun
dushmanoo ke saath mere dost bhii aazaad hain
dekhanaa hai kheinchataa hai mujh pe pahalaa tiir kaun

No comments: