Thursday, June 12, 2008

ker reha tha gham e jaan ka hisaab
ajj tum yaad be hisaab aaaye

gar mujhe bhula paaye to mujhe bhi samjhana
dill se naqash yaadun k kistarah nikalte hain

KITNA YAAD AATE HO POCHTE HO KIU MUJH SE
JITNAAA YAAD KARTE HO UTTNNE YAAD AATE HO

CHAMAK utthta hai sar e shaam teri yaad ka chaand
kabhi tareeek na dekhi shab e furqat main ne

kuch log khaayalon se chale jaain to sooain
beete howe din raat na YAAD AAain to sooain
chehre jo kabhi hum ko dikhaayi nahi dain ge
aa aa k tasawur main na tardpaain to sooain

ho gai dill ko teri Yaad se ik nisbat khas
abb to shayad hi mayasar kabhi tanhaayi ho
qabaaye jism k her taar se guzarte howe
kiran ka payaar mujhe aaftaab kar de ga
meri tarah koi hai jo zindagi aappni
tumhaari YAAD k naam intasab kar de ga
rooh ko tardpa rehi hai unki yaad
dard ban k chaah rehi hai unki yaad
ishq se ghabra rehi hai uki yaad
rukte rukte aarehi hai unki yaad

1 comment:

Tej said...

hmmmm...nice creation